मंगलवार, 8 जून 2010

मंगलवार, 11 मई 2010

kaise dobara aayega t-20 world cup

hamare desh ke player T-20 world cup khel rahe hai , lekin unka pradarshan achchha nai hai. iske pichhe ipl ki thakavat  ek mukhya vajah hai . kyoki 1 1\2 mahine IPL ke match khelne ke thik baad T-20 world cup me achchha pradarshan karna mushkil hai. BCCI agar chahati ti yah naubat nahi aati , kyoki wah world cup ke karyakram me parivrtan nahi kar sakati lekin IPL ke karyakram me parivrtan kar sakati hai.. lakin use to sirf paisa kamana hai aur IPL isako aasani se pura karata hai . T-20 world cup india me aaye ya nahi isase BCCI  ko  koi fark nahi padta, lekin paisa kaise aaye isase usako fark padata hai. kyoki  isi paise ki vajah se uski world cricket me tuti bolti hai. BCCI  ko desh ke logo ki bhavanao se  koi matalab nahi hai..use matalab hai to sirf aur sirf paise se..

cheejo se nahi rishto se pyar kare

aaj har koi apne samano se jyada pyar kar raha hai . vastuo ke aage risto ki koi mulya nahi hai.mai aap ko ek kahani suna raha hoo. ek bar ek aadmi apni car ki saphai kar raha tha . tabhi uske paas usaka ladaka aaya aur usane ek chhote se patthar se us car ko khurch dia.. us aadmi ne yah dekha to usne car me rakhe rinch se apne ladake ke haath par bahut mara aur marne ke baad use vah hospital lekar gaya. doctor ne use bataya ki bachche ke haath ki ugliyan itni jyada tut chuki ki usaka haat katna hoga . haath katne ke baad us bachche ne apne haatho par badhi patti ki taraf ishara karke apne papa se puchha ki " papa ye ugaliyan kab ugengi. " tab wah aadmi bahut roya . aur wah car ke paas gaya vaha par usane dekha ki car par bachche ne likha tha " love you papa"isko padane ke baad usane turant jakar aatmahatya kar lia. is lie dosto cheejo ko nahi risto ko pyar karna chahie . kahi esa n ho ki ham apne kisi khas ko cheejo ko pyar karne ke karan kho de..

रविवार, 2 मई 2010

मेरी जिन्दगी के पांच दिन

jindgi me kuch pal eise aate hai, jab ush pal me kiya gaya kaam hamain itana kuch sikha jata hain , jitna hum saal do saal ki mehnat me bhi nahi sikh paate haain.eisa hi avasar mujhe mila. jab hamaare department ne "sanchar takniki aur television programme production" shirshakm par five days workshop ka aayojan hua. yah workshop 8-04-10 se 12-04-10 tak chala. isame indraprasth university delhi se abhishek srivastva, amity university lucknow se durgesh pathak aur jansandesh channel ke anchor rahul rajput aur electronik editor shailesh maurya bataur prashicchak aaye.
mujhe. mujhe first 2 days kaaphi achachha laga. jab abhishek sir ne advertisment ke saath- saath media ke anchhue area ke baarain me bataya ansadhano avam time ke abhaav ke karan unhone kam samay me print aur electronic advertisment banana bataya.rahul sir ne hum logo ko anchoring, vo aur ptc ke gur sikhaye. isake saath hishabdo ka sahi pronaunciesion karana bhi bataya.
durgesh sir aur shailendra sir ke ssath milkar short movie banana kaaphi achchh laga.lekin isase hatkar ek baat jaha tak mujhe samajh me aayi vo ye hai ki hamara confidens bada.esa laga ki hum aage badkar ek mukam hasil kar sakte hain.bas jarurat
hain to apne andar ke us daar ko khatm karne ki jo hame rok raha hai.